hum shoala-ba-dast itni mohabbat se jale hain
ham sho.ala-ba-dast itnī mohabbat se jale haiñ
jo dekhne vaale the vo hasrat se jale haiñ
ḳhushbū se jale haiñ kabhī sūrat se jale haiñ
bad-ḳhvāh hasad karne kī aadat se jale haiñ
jal jaa.e jahāñ ḳhuun nahīñ khaultā un kā
ham barf-zada logoñ kī fitrat se jale haiñ
kab sho.alagī lau dene se aa.ī hai kabhī baaz
ye husn-e-nazar vaale ināyat se jale haiñ
ik aag ke dariyā ko batāyā hai chaman-zār
ham Dūbne vāloñ kī ri.āyat se jale haiñ
kirdār pe aane hī nahīñ dī hai kabhī aañch
kuchh log mohabbat meñ mahārat se jale haiñ
is aag meñ rāhat ke bhī sāmān haiñ 'jāzib'
samjhā.eñ bhī kaise ki zarūrat se jale haiñ
hum shoala-ba-dast itni mohabbat se jale hain
jo dekhne wale the wo hasrat se jale hain
KHushbu se jale hain kabhi surat se jale hain
bad-KHwah hasad karne ki aadat se jale hain
jal jae jahan KHun nahin khaulta un ka
hum barf-zada logon ki fitrat se jale hain
kab shoalagi lau dene se aai hai kabhi baz
ye husn-e-nazar wale inayat se jale hain
ek aag ke dariya ko bataya hai chaman-zar
hum Dubne walon ki riayat se jale hain
kirdar pe aane hi nahin di hai kabhi aanch
kuchh log mohabbat mein mahaarat se jale hain
is aag mein rahat ke bhi saman hain 'jazib'
samjhaen bhi kaise ki zarurat se jale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.