hum taghaful ko ibtida samjhe
ham taġhāful ko ibtidā samjhe
aur vo dard kī davā samjhe
vo to begāngī meñ the goyā
aur ham un ko āshnā samjhe
shorish-e-dil ne jo kahā ham se
is ko ham hukm aap kā samjhe
un se qaa.em huā hai naqsh-e-vafā
koī un ko na bevafā samjhe
āshnā-e-murād-e-sāhil hai
vo jo tūfāñ ko nāḳhudā samjhe
kal sar-e-bazm in ishāroñ se
kahiye 'ḳhurshīd' aap kyā samjhe
hum taghaful ko ibtida samjhe
aur wo dard ki dawa samjhe
wo to begangi mein the goya
aur hum un ko aashna samjhe
shorish-e-dil ne jo kaha hum se
is ko hum hukm aap ka samjhe
un se qaem hua hai naqsh-e-wafa
koi un ko na bewafa samjhe
aashna-e-murad-e-sahil hai
wo jo tufan ko naKHuda samjhe
kal sar-e-bazm in ishaaron se
kahiye 'KHurshid' aap kya samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.