hum tazkira-e-lutf-o-karam karte rahenge
hum tazkira-e-lutf-o-karam karte rahenge
Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
MORE BYTahniyatunnisa Begam Tahniyat
ham tazkira-e-lutf-o-karam karte raheñge
āsā.ish-e-kaunain baham karte raheñge
ye ganj-e-sa.ādat kabhī ḳhālī hī na hogā
sab aap ke altāf raqam karte raheñge
lauTe jo madīne se to pachhtāte haiñ ab tak
kab tak nahīñ ma.alūm ye ġham karte raheñge
jā.eñge vahīñ chhoḌ ke sab rauza-e-rizvāñ
yasrib ko jo vo rashk-e-iram karte raheñge
dekheñge kabhī 'tahniyat' apnī bhī taraf vo
ashkoñ se jo ham āñkhoñ ko nam karte raheñge
hum tazkira-e-lutf-o-karam karte rahenge
aasaish-e-kaunain baham karte rahenge
ye ganj-e-saadat kabhi KHali hi na hoga
sab aap ke altaf raqam karte rahenge
lauTe jo madine se to pachhtate hain ab tak
kab tak nahin malum ye gham karte rahenge
jaenge wahin chhoD ke sab rauza-e-rizwan
yasrib ko jo wo rashk-e-iram karte rahenge
dekhenge kabhi 'tahniyat' apni bhi taraf wo
ashkon se jo hum aankhon ko nam karte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.