hum tere shahar se jate hue ro dete hain
ham tere shahar se jaate hue ro dete haiñ
gul se titlī ko uḌāte hue ro dete haiñ
us ne hañste hue toḌā thā hamārā rishta
ham sabhī ko ye batāte hue ro dete haiñ
maiñ huuñ vīrān jazīra jahāñ ahl-e-kashtī
apnī rātoñ ko bitāte hue ro dete haiñ
raat bhar jalne ke bhī ba.ad ham afsurda-mizāj
sub.h-dam sham.a bujhāte hue ro dete haiñ
kaun kartā hai kabhī naql-e-makānī hañs kar
log duniyā meñ bhī aate hue ro dete hai
hum tere shahar se jate hue ro dete hain
gul se titli ko uDate hue ro dete hain
us ne hanste hue toDa tha hamara rishta
hum sabhi ko ye batate hue ro dete hain
main hun viran jazira jahan ahl-e-kashti
apni raaton ko bitate hue ro dete hain
raat bhar jalne ke bhi baad hum afsurda-mizaj
subh-dam shama bujhate hue ro dete hain
kaun karta hai kabhi naql-e-makani hans kar
log duniya mein bhi aate hue ro dete hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.