hum tirgi mein sham jalae hue to hain
ham tīrgī meñ sham' jalā.e hue to haiñ
hāthoñ meñ surḳh jaam uThā.e hue to haiñ
us jān-e-anjuman ke liye be-qarār dil
āñkhoñ meñ intizār sajā.e hue to haiñ
mīlād ho ki majlis-e-ġham mubtalā tire
āñgan meñ dil ke farsh bichhā.e hue to haiñ
hizb-e-haram ne shauq-e-junūñ ko baḌhā diyā
siine se ham butoñ ko lagā.e hue to haiñ
duniyā kahāñ thī pās-e-virāsat ke zimn meñ
ik diin thā so us pe luTā.e hue to haiñ
kab chobdār par hoñ sar-afrāz dekhiye
us shoḳh kī nigāh meñ aa.e hue to haiñ
hum tirgi mein sham' jalae hue to hain
hathon mein surKH jam uThae hue to hain
us jaan-e-anjuman ke liye be-qarar dil
aankhon mein intizar sajae hue to hain
milad ho ki majlis-e-gham mubtala tere
aangan mein dil ke farsh bichhae hue to hain
hizb-e-haram ne shauq-e-junun ko baDha diya
sine se hum buton ko lagae hue to hain
duniya kahan thi pas-e-wirasat ke zimn mein
ek din tha so us pe luTae hue to hain
kab chobdar par hon sar-afraaz dekhiye
us shoKH ki nigah mein aae hue to hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 428)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.