hum tera saya the saya ho ke
ham tirā saaya the saaya ho ke
phir chale aa.e haiñ tujh ko kho ke
dard kī fasl hameñ yaad rahī
biij ham bhuul ga.e the bo ke
aañkh ne dekhā magar kyā dekhā
aql ne aur bhī khaa.e dhoke
ek tūfān kī aamad aamad
ek aañsū koī roke roke
sab kī āñkhoñ meñ khaTakte haiñ to ham
koī itnā nahīñ us ko Toke
terā āshiq thā to le ye tābūt
āḳhirī kiil bhī tū hī Thoke
dekho 'mus.haf' ko jagāo na agar
abhī so.e haiñ bahut ro ro ke
hum tera saya the saya ho ke
phir chale aae hain tujh ko kho ke
dard ki fasl hamein yaad rahi
bij hum bhul gae the bo ke
aankh ne dekha magar kya dekha
aql ne aur bhi khae dhoke
ek tufan ki aamad aamad
ek aansu koi roke roke
sab ki aankhon mein khaTakte hain to hum
koi itna nahin us ko Toke
tera aashiq tha to le ye tabut
aaKHiri kil bhi tu hi Thoke
dekho 'mushaf' ko jagao na agar
abhi soe hain bahut ro ro ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.