hum tere aalam-e-wahshat mein sahaare hue hain
ham tire ālam-e-vahshat meñ sahāre hue haiñ
vaqt badlā to hamīñ pahle kināre hue haiñ
muntazir aaj bhī haiñ takte haiñ terā rasta
ek muddat se miyāñ tujh ko pukāre hue haiñ
hijr meñ tere jo nikle haiñ mirī aañkh se ashk
gir paḌe jab ye zamīñ par to sitāre hue haiñ
rūThne kā tire ab dukh nahīñ hogā ham ko
ham isī karb meñ ik umr guzāre hue haiñ
kabhī ye shahr shanāsā bhī huā kartā thā
ab yahāñ sab ke sab ehsās ke maare hue haiñ
ne.amat-e-ishq mayassar nahīñ aatī sab ko
sāhab-e-zar bhī yahāñ haath pasāre hue haiñ
hum tere aalam-e-wahshat mein sahaare hue hain
waqt badla to hamin pahle kinare hue hain
muntazir aaj bhi hain takte hain tera rasta
ek muddat se miyan tujh ko pukare hue hain
hijr mein tere jo nikle hain meri aankh se ashk
gir paDe jab ye zamin par to sitare hue hain
ruThne ka tere ab dukh nahin hoga hum ko
hum isi karb mein ek umr guzare hue hain
kabhi ye shahr shanasa bhi hua karta tha
ab yahan sab ke sab ehsas ke mare hue hain
neamat-e-ishq mayassar nahin aati sab ko
sahab-e-zar bhi yahan hath pasare hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.