hum tere dil se nikal aae magar kya nikle
ham tire dil se nikal aa.e magar kyā nikle
jis tarah koī samundar meñ se pyāsā nikle
tere jaane se mirā halqa-e-ahbāb baḌhā
ahl-e-dard ahl-e-mohabbat se ziyāda nikle
ab tire zikr pe aañsū nahīñ Tapkā to kyā
vaqt tai kartā hai ye qaid rahe yā nikle
maiñ mohabbat meñ bahut aage nikal jaatā huuñ
raat meñ jaise safar par koī andhā nikle
haal aisā ho ki har dekhne vaalā ro.e
sunñe vāloñ kī zabānoñ se dilāsa nikle
hum tere dil se nikal aae magar kya nikle
jis tarah koi samundar mein se pyasa nikle
tere jaane se mera halqa-e-ahbab baDha
ahl-e-dard ahl-e-mohabbat se ziyaada nikle
ab tere zikr pe aansu nahin Tapka to kya
waqt tai karta hai ye qaid rahe ya nikle
main mohabbat mein bahut aage nikal jata hun
raat mein jaise safar par koi andha nikle
haal aisa ho ki har dekhne wala roe
sunne walon ki zabanon se dilasa nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.