hum tere gham ke pas baiThe the
ham tire ġham ke paas baiThe the
dūsre ġham udaas baiThe the
bas vahī imtihāñ meñ paas hue
jo tire ās-pās baiThe the
shaah ko bhā ga.ī thī ik daasī
sab musāhib udaas baiThe the
āñdhī aa.ī to inkishāf huā
kursiyoñ par libās baiThe the
bām-o-dar ko nahīñ dikhā.ī diye
tum hamāre hī paas baiThe the
aaj thā bādshāh kā tiijā
qabr par sirf daas baiThe the
dostoñ ne hañsā diyā aa kar
achchhe-ḳhāse udaas baiThe the
hum tere gham ke pas baiThe the
dusre gham udas baiThe the
bas wahi imtihan mein pas hue
jo tere aas-pas baiThe the
shah ko bha gai thi ek dasi
sab musahib udas baiThe the
aandhi aai to inkishaf hua
kursiyon par libas baiThe the
baam-o-dar ko nahin dikhai diye
tum hamare hi pas baiThe the
aaj tha baadshah ka tija
qabr par sirf das baiThe the
doston ne hansa diya aa kar
achchhe-KHase udas baiThe the
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 101)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.