hum tere shahr mein aae tere mehman bhi rahe
ham tire shahr meñ aa.e tire mehmāñ bhī rahe
tujh ko chāhā bhī magar tujh se gurezāñ bhī rahe
ab kahīñ duur haiñ ham tere ḳhayāloñ se magar
ham tire shauq kī rūdād ke 'unvāñ bhī rahe
phir tire pyaar kī vo sā’at-e-rangīñ na milī
gardish-e-vaqt se ham dast-o-garebāñ bhī rahe
rāt-bhar koī ḳhalish dil ko satātī hī rahī
band āñkhoñ meñ ka.ī ḳhvāb pareshāñ bhī rahe
bārhā dil ko huā tark-e-ta'alluq kā junūñ
aur phir tujh se mulāqāt ke armāñ bhī rahe
na ga.ī dil kī ye āshufta-mizājī na ga.ī
ham sulaimāñ bhī hue be-sar-o-sāmāñ bhī rahe
luT ga.iiñ jin ke sabab dil kī bahāreñ 'mā’sūm'
gulshan-e-dil ke vahī log nigahbāñ bhī rahe
hum tere shahr mein aae tere mehman bhi rahe
tujh ko chaha bhi magar tujh se gurezan bhi rahe
ab kahin dur hain hum tere KHayalon se magar
hum tere shauq ki rudad ke 'unwan bhi rahe
phir tere pyar ki wo sa’at-e-rangin na mili
gardish-e-waqt se hum dast-o-gareban bhi rahe
raat-bhar koi KHalish dil ko satati hi rahi
band aankhon mein kai KHwab pareshan bhi rahe
barha dil ko hua tark-e-ta'alluq ka junun
aur phir tujh se mulaqat ke arman bhi rahe
na gai dil ki ye aashufta-mizaji na gai
hum sulaiman bhi hue be-sar-o-saman bhi rahe
luT gain jin ke sabab dil ki bahaaren 'ma’sum'
gulshan-e-dil ke wahi log nigahban bhi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.