hum to bikne ko hain tayyar zuleKHa yusuf
ham to bikne ko haiñ tayyār zuleḳhā yūsuf
aap ban jaa.eñ ḳharīdār zuleḳhā yūsuf
tū ne qisse to likhe hoñge hazāroñ lekin
hai musannif tirā shahkār zuleḳhā yūsuf
har kahānī meñ gunahgār nahīñ hotā mard
laḌkiyo paḌh to lo ik baar zuleḳhā yūsuf
ik taraf misr thā ik or ḳhudā-e-ādam
rah ga.e the pas-e-dīvār zuleḳhā yūsuf
us ne duniyā meñ utāre haiñ faqat chaar hī log
apnā mahbūb gunahgār zuleḳhā yūsuf
hum to bikne ko hain tayyar zuleKHa yusuf
aap ban jaen KHaridar zuleKHa yusuf
tu ne qisse to likhe honge hazaron lekin
hai musannif tera shahkar zuleKHa yusuf
har kahani mein gunahgar nahin hota mard
laDkiyo paDh to lo ek bar zuleKHa yusuf
ek taraf misr tha ek or KHuda-e-adam
rah gae the pas-e-diwar zuleKHa yusuf
us ne duniya mein utare hain faqat chaar hi log
apna mahbub gunahgar zuleKHa yusuf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.