hum to chahat mein umidon ke pujari Thahre
ham to chāhat meñ umīdoñ ke pujārī Thahre
vo isī dasht meñ jazbāt se aarī Thahre
tere va.adoñ ne sar-e-shām hī dam toḌ diyā
jiine marne ke sabhī ahd jo bhārī Thahre
rāh-e-ulfat meñ bichhe phuul tumhārī qismat
jo bhī darpesh ho mushkil vo hamārī Thahre
ik jhalak mujh ko hai matlūb zamāne vaalo
is ziyāñ-ḳhāne kī har chiiz tumhārī Thahre
hum to chahat mein umidon ke pujari Thahre
wo isi dasht mein jazbaat se aari Thahre
tere wadon ne sar-e-sham hi dam toD diya
jine marne ke sabhi ahd jo bhaari Thahre
rah-e-ulfat mein bichhe phul tumhaari qismat
jo bhi darpesh ho mushkil wo hamari Thahre
ek jhalak mujh ko hai matlub zamane walo
is ziyan-KHane ki har chiz tumhaari Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.