hum to Darte hi rahe dasht ki virani se
ham to Darte hī rahe dasht kī vīrānī se
us ne ye hijr bhī kaaTā baḌī āsānī se
yuuñ tavajjoh tirī hāsil hai ki ham sahrā-navard
mar hī jaa.eñ na mohabbat kī farāvānī se
apne saudā.ī ke hālāt bhī ab dekh kabhī
kis qadar ḳhush hai tire ġham kī nigahbānī se
ye rah-e-'ishq hai sañbhle to phisal jāoge
kaam lete haiñ yahāñ 'aql kā nādānī se
apnī ḳhushiyoñ se koī ḳhush nahīñ hotā 'āmir'
ab ḳhushī hotī hai auroñ kī pareshānī se
hum to Darte hi rahe dasht ki virani se
us ne ye hijr bhi kaTa baDi aasani se
yun tawajjoh teri hasil hai ki hum sahra-naward
mar hi jaen na mohabbat ki farawani se
apne saudai ke haalat bhi ab dekh kabhi
kis qadar KHush hai tere gham ki nigahbani se
ye rah-e-'ishq hai sanbhle to phisal jaoge
kaam lete hain yahan 'aql ka nadani se
apni KHushiyon se koi KHush nahin hota 'amir'
ab KHushi hoti hai auron ki pareshani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.