hum to gawah hain ki ghalat tha likha gaya
ham to gavāh haiñ ki ġhalat thā likhā gayā
kyā faisla huā thā magar kyā likhā gayā
ye kaisī munsifī thī ki munsif ke rū-ba-rū
jhūTī shahādatoñ ko bhī sachchā likhā gayā
maktūb-e-ġham hamārā paḌhā hī nahīñ gayā
varna to us meñ haal thā saarā likhā gayā
mulzim ko bhī to miltā hai kuchh bolne kā haq
phir kyuuñ nahīñ bayān hamārā likhā gayā
ham chup rahe ki faisla saarā thā tai-shuda
ya.anī jo mudda.ī ne likhāyā likhā gayā
bantī kisī bhī harf kī pahchān kis tarah
jo bhī likhā gayā vo adhūrā likhā gayā
bhūlī nahīñ vo zulm ki 'shabnam' sar-e-furāt
ātish ko aab dasht ko dariyā likhā gayā
hum to gawah hain ki ghalat tha likha gaya
kya faisla hua tha magar kya likha gaya
ye kaisi munsifi thi ki munsif ke ru-ba-ru
jhuTi shahadaton ko bhi sachcha likha gaya
maktub-e-gham hamara paDha hi nahin gaya
warna to us mein haal tha sara likha gaya
mulzim ko bhi to milta hai kuchh bolne ka haq
phir kyun nahin bayan hamara likha gaya
hum chup rahe ki faisla sara tha tai-shuda
yani jo muddai ne likhaya likha gaya
banti kisi bhi harf ki pahchan kis tarah
jo bhi likha gaya wo adhura likha gaya
bhuli nahin wo zulm ki 'shabnam' sar-e-furaat
aatish ko aab dasht ko dariya likha gaya
- Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 114)
- Author : Siddiqah Begum
- Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.