ham to haiñ āsmāñ ke ḳhasāre zamīn par
bichhḌe hue haiñ is pe hamāre zamīn par
sūrat milī na yaar milā ḳhākiyoñ ke biich
rahte haiñ ham ghaTā ke sahāre zamīn par
vo zulf shaam ḳhvāb ye cigarette dhuāñ sharāb
baaqī baḌe ḳharāb nazāre zamīn par
kis se karegā peḌ kaTī baañh kā gilā
koī nahīñ hai jis ko pukāre zamīn par
jal kar bujhe charāġh yahī pūchhte mare
kyā ham haiñ is zamīñ ke sitāre zamīn par
hum to hain aasman ke KHasare zamin par
bichhDe hue hain is pe hamare zamin par
surat mili na yar mila KHakiyon ke bich
rahte hain hum ghaTa ke sahaare zamin par
wo zulf sham KHwab ye cigarette dhuan sharab
baqi baDe KHarab nazare zamin par
kis se karega peD kaTi banh ka gila
koi nahin hai jis ko pukare zamin par
jal kar bujhe charagh yahi puchhte mare
kya hum hain is zamin ke sitare zamin par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.