hum to ek girti hui diwar hain
ham to ik girtī huī dīvār haiñ
aap ke rahm-o-karam par baar haiñ
har qadam par haiñ salībeñ daar haiñ
zindagī ke rāste pur-ḳhār haiñ
aaj tak piite rahe haiñ ashk-e-ġham
zahr bhī piine ko ab tayyār haiñ
pā.eñge saaya bhī ik din dhuup meñ
vaqt ke gesū agar ḳhamdār haiñ
yaar to ḳhāmosh haiñ muddat huī
ab karam-farmā faqat aġhyār haiñ
kaun pūchhegā hameñ ab vaqt ke
haath meñ TuuTī huī talvār haiñ
aap kyā deñge mohabbat kā payām
aap to ḳhud barsar-e-paikār haiñ
jis meñ 'sailānī' nahīñ dād-e-suḳhan
ham sabhī us daur ke fankār haiñ
hum to ek girti hui diwar hain
aap ke rahm-o-karam par bar hain
har qadam par hain saliben dar hain
zindagi ke raste pur-KHar hain
aaj tak pite rahe hain ashk-e-gham
zahr bhi pine ko ab tayyar hain
paenge saya bhi ek din dhup mein
waqt ke gesu agar KHamdar hain
yar to KHamosh hain muddat hui
ab karam-farma faqat aghyar hain
kaun puchhega hamein ab waqt ke
hath mein TuTi hui talwar hain
aap kya denge mohabbat ka payam
aap to KHud barsar-e-paikar hain
jis mein 'sailani' nahin dad-e-suKHan
hum sabhi us daur ke fankar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.