hum to pani hain kisi shakl bhi Dhal sakte hain
ham to paanī haiñ kisī shakl bhī Dhal sakte haiñ
ik zarā aañch dikhā do to ubal sakte haiñ
roz-e-avval se hai miTTī kā sahārā miTTī
aap baisākhiyoñ se kitnā sañbhal sakte haiñ
aap ke haath meñ hai mujh se ta.alluq kā remote
aap chāheñ to ye channel bhī badal sakte haiñ
hum to pani hain kisi shakl bhi Dhal sakte hain
ek zara aanch dikha do to ubal sakte hain
roz-e-awwal se hai miTTi ka sahaara miTTi
aap baisakhiyon se kitna sanbhal sakte hain
aap ke hath mein hai mujh se talluq ka remote
aap chahen to ye channel bhi badal sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.