hum to ruThe the aazmane ko
ham to rūThe the āzmāne ko
koī aayā nahīñ manāne ko
jaane kyā bair hai zamāne ko
phal samajhtā hai āshiyāne ko
pārsāoñ ne ġhaur se dekhā
chalte-phirte sharāb-ḳhāne ko
sahn kī ḳhaak baam ke tinke
kuchh to de do davā banāne ko
aur kitnā buland ho jā.ūñ
terī chaukhaT pe sar jhukāne ko
kyā sitam hai ki maar kar patthar
bhuul jaatā hai vo nishāne ko
us ne par bhī mire nahīñ katre
maiñ to raazī thā phaḌphaḌāne ko
ham baḌī duur chal ke aa.e haiñ
paañv ik shaḳhs ke dabāne ko
hum to ruThe the aazmane ko
koi aaya nahin manane ko
jaane kya bair hai zamane ko
phal samajhta hai aashiyane ko
parsaon ne ghaur se dekha
chalte-phirte sharab-KHane ko
sahn ki KHak baam ke tinke
kuchh to de do dawa banane ko
aur kitna buland ho jaun
teri chaukhaT pe sar jhukane ko
kya sitam hai ki mar kar patthar
bhul jata hai wo nishane ko
us ne par bhi mere nahin katre
main to raazi tha phaDphaDane ko
hum baDi dur chal ke aae hain
panw ek shaKHs ke dabane ko
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 46)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.