hum to shayad yahan ke the hi nahin
ham to shāyad yahāñ ke the hī nahīñ
is zamīñ āsmāñ ke the hī nahīñ
tanhā tanhā hī tai kiyā hai safar
ham kisī kārvāñ ke the hī nahīñ
apne dil meñ na dī jagah us ne
ham makīñ us makāñ ke the hī nahīñ
mausam-e-gul meñ bhī na khul paa.e
phuul jo gulsitāñ ke the hī nahīñ
tum ko sāhil amaañ vo kyā dete
jo ki qaa.il amaañ ke the hī nahīñ
hum to shayad yahan ke the hi nahin
is zamin aasman ke the hi nahin
tanha tanha hi tai kiya hai safar
hum kisi karwan ke the hi nahin
apne dil mein na di jagah us ne
hum makin us makan ke the hi nahin
mausam-e-gul mein bhi na khul pae
phul jo gulsitan ke the hi nahin
tum ko sahil aman wo kya dete
jo ki qail aman ke the hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.