hum to zanjir-e-safar shauq mein Dale hue hain
ham to zanjīr-e-safar shauq meñ Daale hue haiñ
varna ye anfus-o-āfāq khañgāle hue haiñ
kab se mizhgāñ nahīñ khole mire hushyāroñ ne
kitnī āsānī se tūfān ko Taale hue haiñ
ham ne kyā kyā tujhe chāhā hai unheñ kyā mā'lūm
log abhī kal se tire chāhne vaale hue haiñ
kahīñ vahshat nahīñ dekhī tirī āñkhoñ jaisī
ye hiran kaun se sahrāoñ ke paale hue haiñ
dil kā kyā Thiik hai aanā hai to aa jā ki abhī
ham ye girtī huī dīvār sañbhāle hue haiñ
hum to zanjir-e-safar shauq mein Dale hue hain
warna ye anfus-o-afaq khangale hue hain
kab se mizhgan nahin khole mere hushyaron ne
kitni aasani se tufan ko Tale hue hain
hum ne kya kya tujhe chaha hai unhen kya ma'lum
log abhi kal se tere chahne wale hue hain
kahin wahshat nahin dekhi teri aankhon jaisi
ye hiran kaun se sahraon ke pale hue hain
dil ka kya Thik hai aana hai to aa ja ki abhi
hum ye girti hui diwar sanbhaale hue hain
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 70)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.