hum tum ki roz-o-shab mile sham-o-sahar mile
ham tum ki roz-o-shab mile shām-o-sahar mile
lekin na dil na zāviya-hā-e-nazar mile
chhalnī haiñ paañv kāñToñ-bharī rahguzar mile
ham ko hamārī shaan ke shāyāñ safar mile
maiñ bhī kuchh apne karb kā iz.hār kar sakūñ
mujh ko bhī kuchh salīqa-e-arz-e-hunar mile
be-māñge paa.eñ buuñd bhī pyāse to jī uTheñ
dariyā bhī le ke ḳhush na hoñ māñge se gar mile
ham bijliyoñ kī zad meñ musalsal raheñ to kyuuñ
ye kyā ki bijliyoñ ko hamārā hī ghar mile
gulshan shaguftagī se ibārat na ho sakā
ġhunche khile khile se to har shāḳh par mile
paimāñ to ye thā mil ke na bichhḌeñge umr-bhar
bichhḌe to is tarah ki na phir umr-bhar mile
tāsīr ke baġhair duā kā bhī kyā mazā
lutf-e-duā ye hai ki ki duā ko asar mile
khul kar tum un se bhī na mile jin se qurb thā
aur ham ki jis kisī se mile TuuT kar mile
Dar hai kahīñ natīja rihā.ī kā ye na ho
zindāñ ke ham raheñ na hameñ apnā ghar mile
kis dil se ārzū-e-ḳhushī kījiye ki ab
his tak ḳhushī kī miT ga.ī ġham is qadar mile
ye zindagī vo taptā huā regzār hai
jis meñ kahīñ na saaya na shāḳh-e-shajar mile
vo hādse jo vaj.h-e-tabāhī bane 'vaqār'
un meñ se kuchh to ghar kī hī dahlīz par mile
hum tum ki roz-o-shab mile sham-o-sahar mile
lekin na dil na zawiya-ha-e-nazar mile
chhalni hain panw kanTon-bhari rahguzar mile
hum ko hamari shan ke shayan safar mile
main bhi kuchh apne karb ka izhaar kar sakun
mujh ko bhi kuchh saliqa-e-arz-e-hunar mile
be-mange paen bund bhi pyase to ji uThen
dariya bhi le ke KHush na hon mange se gar mile
hum bijliyon ki zad mein musalsal rahen to kyun
ye kya ki bijliyon ko hamara hi ghar mile
gulshan shaguftagi se ibarat na ho saka
ghunche khile khile se to har shaKH par mile
paiman to ye tha mil ke na bichhDenge umr-bhar
bichhDe to is tarah ki na phir umr-bhar mile
tasir ke baghair dua ka bhi kya maza
lutf-e-dua ye hai ki ki dua ko asar mile
khul kar tum un se bhi na mile jin se qurb tha
aur hum ki jis kisi se mile TuT kar mile
Dar hai kahin natija rihai ka ye na ho
zindan ke hum rahen na hamein apna ghar mile
kis dil se aarzu-e-KHushi kijiye ki ab
his tak KHushi ki miT gai gham is qadar mile
ye zindagi wo tapta hua regzar hai
jis mein kahin na saya na shaKH-e-shajar mile
wo hadse jo wajh-e-tabahi bane 'waqar'
un mein se kuchh to ghar ki hi dahliz par mile
- Book : Waqar-e-Hunar (Pg. 78)
- Author : Mohammad Zahiir
- Publication : Waqar Manvi, Sui walan, Darya Ganj, Delhi (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.