hum tumhein baddua nahin denge
ham tumheñ badduā nahīñ deñge
itnī lambī sazā nahīñ deñge
ġham ko mahsūs kījiye sāhib
ġham to aise maza nahīñ deñge
apnī bad-sūratī karo mahsūs
ham tumheñ aa.ina nahīñ deñge
ye maraz Thiik hī nahīñ hogā
aap jab tak davā nahīñ deñge
tum ko kar deñge bas supurd-e-ḳhudā
ham koī faisla nahīñ deñge
ḳhud hī ḳhush hoiye vafā kar ke
log dād-e-vafā nahīñ deñge
chain un ko na aa.egā jab tak
apne ehsāñ ginā nahīñ deñge
apnī be-laus chāhatoñ kā kabhī
ham tumheñ vāsta nahīñ deñge
tum mire dost rah chuke ho kabhī
itnī jaldī bhulā nahīñ deñge
dil jo māñ-bāp kā dukhāyā to
dil se vo bhī duā nahīñ deñge
ham muballiġh haiñ ishq ke 'nusrat'
nafratoñ ko havā nahīñ deñge
hum tumhein baddua nahin denge
itni lambi saza nahin denge
gham ko mahsus kijiye sahib
gham to aise maza nahin denge
apni bad-surati karo mahsus
hum tumhein aaina nahin denge
ye maraz Thik hi nahin hoga
aap jab tak dawa nahin denge
tum ko kar denge bas supurd-e-KHuda
hum koi faisla nahin denge
KHud hi KHush hoiye wafa kar ke
log dad-e-wafa nahin denge
chain un ko na aaega jab tak
apne ehsan gina nahin denge
apni be-laus chahaton ka kabhi
hum tumhein wasta nahin denge
tum mere dost rah chuke ho kabhi
itni jaldi bhula nahin denge
dil jo man-bap ka dukhaya to
dil se wo bhi dua nahin denge
hum muballigh hain ishq ke 'nusrat'
nafraton ko hawa nahin denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.