hum tumhein kah denge kya hai zindagi
ham tumheñ kah deñge kyā hai zindagī
ḳhūbsūrat hādsa hai zindagī
kā.enāt-e-rang-o-bū meñ har taraf
dekhiye jalva-numā hai zindagī
dard to hai ik kalīse kī tarah
aur dilkash rāhiba hai zindagī
kuchh masarrat kuchh ġhamoñ kī chhāñv meñ
tajraba-dar-tajraba hai zindagī
ham tasavvur ke bayābānoñ meñ haiñ
ḳhushnumā ik dā.era hai zindagī
yās-o-hasrat kī sulagtī bazm meñ
aaj bhī naġhma-sarā hai zindagī
giit hai 'jāmī' tumhārī shā.erī
giit kī tarz-e-adā hai zindagī
hum tumhein kah denge kya hai zindagi
KHubsurat hadsa hai zindagi
kaenat-e-rang-o-bu mein har taraf
dekhiye jalwa-numa hai zindagi
dard to hai ek kalise ki tarah
aur dilkash rahiba hai zindagi
kuchh masarrat kuchh ghamon ki chhanw mein
tajraba-dar-tajraba hai zindagi
hum tasawwur ke bayabanon mein hain
KHushnuma ek daera hai zindagi
yas-o-hasrat ki sulagti bazm mein
aaj bhi naghma-sara hai zindagi
git hai 'jami' tumhaari shaeri
git ki tarz-e-ada hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.