hum unki nazar mein samane lage
ham un kī nazar meñ samāne lage
magar jab nazar bhī na aane lage
ye terī suḳhan-sāziyāñ haiñ nadīm
kisī par vo kyuuñ rahm khāne lage
na dī ġhair ne dād-e-tarz-e-sitam
sitam-gar ko ham yaad aane lage
na dānish durust aur bīnish bajā
dil-o-dīda donoñ Thikāne lage
gayā thā ki in kī ḳhushāmad karūñ
vo ulTā mujhī ko banāne lage
kabhī ḳhair-maqdam kabhī marhabā
zabāñ par ye alfāz laane lage
kabhī mere qurbān hote rahī
kabhī mujh ko pañkhā hilāne lage
kabhī leT kar paañv phailā diye
kabhī dekh kar muskurāne lage
kiyā maiñ ne jab azm-e-bos-o-kanār
to uTh baiThe aur muñh chiḌhāne lage
kahīñ phir dupaTTā sambhalne lagā
kahīñ aadmī ko bulāne lage
ḳhudāyā kiyā kis ne un par sitam
ilāhī ye kyuuñ ġhul machāne lage
vo dam meñ kab aate the dete the dam
ki samjhūñ mire dam meñ aane lage
vo mahfil meñ aa.eñ to 'nāzim' zarūr
muġhannī ye ash.ār gaane lage
hum un ki nazar mein samane lage
magar jab nazar bhi na aane lage
ye teri suKHan-saziyan hain nadim
kisi par wo kyun rahm khane lage
na di ghair ne dad-e-tarz-e-sitam
sitam-gar ko hum yaad aane lage
na danish durust aur binish baja
dil-o-dida donon Thikane lage
gaya tha ki in ki KHushamad karun
wo ulTa mujhi ko banane lage
kabhi KHair-maqdam kabhi marhaba
zaban par ye alfaz lane lage
kabhi mere qurban hote rahi
kabhi mujh ko pankha hilane lage
kabhi leT kar panw phaila diye
kabhi dekh kar muskurane lage
kiya main ne jab azm-e-bos-o-kanar
to uTh baiThe aur munh chiDhane lage
kahin phir dupaTTa sambhalne laga
kahin aadmi ko bulane lage
KHudaya kiya kis ne un par sitam
ilahi ye kyun ghul machane lage
wo dam mein kab aate the dete the dam
ki samjhun mere dam mein aane lage
wo mahfil mein aaen to 'nazim' zarur
mughanni ye ashaar gane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.