hum un ko haal-e-dil apna sunae jate hain
ham un ko hāl-e-dil apnā sunā.e jaate haiñ
vo baiThe sunte haiñ aur muskurā.e jaate haiñ
vo ba.ad-e-qatl bhī ḳhanjar lagā.e jaate haiñ
shahīd-e-nāz kī shaukat baḌhā.e jaate haiñ
ḳhamosh mahfil-e-a.adā meñ duur baiThe haiñ
ġhazab hai to bhī vo āñkhoñ meñ khaa.e jaate haiñ
ye infi.āl hai kis kis jafā-garī ke 'evaz
ki baat baat meñ vo muñh chhupā.e jaate haiñ
samajh hai gayā maiñ kahūñgā na kuchh ḳhudā kī qasam
sharāb aap mujhe kyuuñ pilā.e jaate haiñ
ye bazm-e-yār meñ hai qadr-o-manzilat 'raunaq'
ki aa.e koī vahāñ ham uThā.e jaate haiñ
hum un ko haal-e-dil apna sunae jate hain
wo baiThe sunte hain aur muskurae jate hain
wo baad-e-qatl bhi KHanjar lagae jate hain
shahid-e-naz ki shaukat baDhae jate hain
KHamosh mahfil-e-ada mein dur baiThe hain
ghazab hai to bhi wo aankhon mein khae jate hain
ye infial hai kis kis jafa-gari ke 'ewaz
ki baat baat mein wo munh chhupae jate hain
samajh hai gaya main kahunga na kuchh KHuda ki qasam
sharab aap mujhe kyun pilae jate hain
ye bazm-e-yar mein hai qadr-o-manzilat 'raunaq'
ki aae koi wahan hum uThae jate hain
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 118)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.