hum un ko KHushbuon mein tolte hain
ham un ko ḳhushbuoñ meñ tolte haiñ
jo phūloñ kī zabāneñ bolte haiñ
vahī sab giit phir se gungunā do
mire kānoñ meñ jo ras gholte haiñ
mujhe paanī pe chalnā sīkhnā hai
mire paañv zamīñ par Dolte haiñ
mohabbat par siyāsat kar rahe haiñ
diloñ ko paañv meñ jo rolte haiñ
tumhārā huuñ tumhārā huuñ maiñ 'bāsit'
chale aao dar-e-dil kholte haiñ
hum un ko KHushbuon mein tolte hain
jo phulon ki zabanen bolte hain
wahi sab git phir se gunguna do
mere kanon mein jo ras gholte hain
mujhe pani pe chalna sikhna hai
mere panw zamin par Dolte hain
mohabbat par siyasat kar rahe hain
dilon ko panw mein jo rolte hain
tumhaara hun tumhaara hun main 'basit'
chale aao dar-e-dil kholte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.