Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum un se agar mil baiThe hain kya dosh hamara hota hai

Ibn e Insha

hum un se agar mil baiThe hain kya dosh hamara hota hai

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    ham un se agar mil baiThe haiñ kyā dosh hamārā hotā hai

    kuchh apnī jasārat hotī hai kuchh un ishārā hotā hai

    kaTne lagīñ rāteñ āñkhoñ meñ dekhā nahīñ palkoñ par aksar

    shām-e-ġharībāñ jugnū sub.h taarā hotā hai

    ham dil ko liye har des phire is jins ke gāhak mil na sake

    ai banjāro ham log chale ham ko to ḳhasārā hotā hai

    daftar se uThe kaife meñ ga.e kuchh sher kahe kuchh coffē

    pūchho jo ma.āsh 'inshā'-jī yuuñ apnā guzārā hotā hai

    hum un se agar mil baiThe hain kya dosh hamara hota hai

    kuchh apni jasarat hoti hai kuchh un ka ishaara hota hai

    kaTne lagin raaten aankhon mein dekha nahin palkon par aksar

    ya sham-e-ghariban ka jugnu ya subh ka tara hota hai

    hum dil ko liye har des phire is jins ke gahak mil na sake

    ai banjaro hum log chale hum ko to KHasara hota hai

    daftar se uThe kaife mein gae kuchh sher kahe kuchh coffee pi

    puchho jo maash ka 'insha'-ji yun apna guzara hota hai

    Source :
    • Book : Chand Nagar (Pg. 97)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now