hum un se chhuT ke yun zindagi ke sath rahe
hum un se chhuT ke yun zindagi ke sath rahe
Nihal Rizvi Lucknowi
MORE BYNihal Rizvi Lucknowi
ham un se chhūT ke yuuñ zindagī ke saath rahe
ki jaise koī kisī ajnabī ke saath rahe
baḌe maze kī hai donoñ kī dāstān-e-hayāt
ham un ke saath rahe vo ḳhudī ke saath rahe
us anjuman meñ jahāñ sab harīf-e-ulfat the
ham ahl-e-ishq baḌī bebasī ke saath rahe
jahāñ jahāñ maiñ gayā vo vahāñ vahāñ mire saath
rahe zarūr magar be-ruḳhī ke saath rahe
tire karam ke tirī iltifāt ke jalve
mire jahāñ meñ nihāyat kamī ke saath rahe
vahī samajhte the mafhūm-e-zindagī shāyad
ba-qaid-e-hosh jo dīvāngī ke saath rahe
matā.a-e-ishrat-e-be-nām kī talab meñ 'nihāl'
ġhamoñ ke shahr meñ bhī ham ḳhushī ke saath rahe
hum un se chhuT ke yun zindagi ke sath rahe
ki jaise koi kisi ajnabi ke sath rahe
baDe maze ki hai donon ki dastan-e-hayat
hum un ke sath rahe wo KHudi ke sath rahe
us anjuman mein jahan sab harif-e-ulfat the
hum ahl-e-ishq baDi bebasi ke sath rahe
jahan jahan main gaya wo wahan wahan mere sath
rahe zarur magar be-ruKHi ke sath rahe
tere karam ke teri iltifat ke jalwe
mere jahan mein nihayat kami ke sath rahe
wahi samajhte the mafhum-e-zindagi shayad
ba-qaid-e-hosh jo diwangi ke sath rahe
mataa-e-ishrat-e-be-nam ki talab mein 'nihaal'
ghamon ke shahr mein bhi hum KHushi ke sath rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.