hum un se TuT kar milte hain mil kar TuT jate hain
ham un se TuuT kar milte haiñ mil kar TuuT jaate haiñ
tamāsha hai ki shīshe se bhī patthar TuuT jaate haiñ
maiñ huuñ vo saḳht-jāñ hai jis kī jur.at itnī mustahkam
mire siine tak aate aate ḳhanjar TuuT jaate haiñ
jo rishte hote haiñ qaa.em faqat matlab-parastī par
vahī rishte yaqīnan ḳhud hī aksar TuuT jaate haiñ
jafā ahl-e-vafā par karke jab ehsās hotā hai
vahīñ dil-soz-o-dil-āzār dilbar TuuT jaate haiñ
kabhī āñdhī se titlī ko bhī jumbish kuchh nahīñ hotī
kabhī shāhīn ke mazbūt shah-par TuuT jaate haiñ
nazar āḳhir nazar hai kaam kar jaatī hai pal bhar meñ
haqīqat ā.inoñ kī kyā hai patthar TuuT jaate haiñ
tire ash.ār meñ vo soz hai vo dard hai pinhāñ
tire ash.ār sun kar ham to 'anvar' TuuT jaate haiñ
hum un se TuT kar milte hain mil kar TuT jate hain
tamasha hai ki shishe se bhi patthar TuT jate hain
main hun wo saKHt-jaan hai jis ki jurat itni mustahkam
mere sine tak aate aate KHanjar TuT jate hain
jo rishte hote hain qaem faqat matlab-parasti par
wahi rishte yaqinan KHud hi aksar TuT jate hain
jafa ahl-e-wafa par karke jab ehsas hota hai
wahin dil-soz-o-dil-azar dilbar TuT jate hain
kabhi aandhi se titli ko bhi jumbish kuchh nahin hoti
kabhi shahin ke mazbut shah-par TuT jate hain
nazar aaKHir nazar hai kaam kar jati hai pal bhar mein
haqiqat aainon ki kya hai patthar TuT jate hain
tere ashaar mein wo soz hai wo dard hai pinhan
tere ashaar sun kar hum to 'anwar' TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.