hum unhen yunhi aazmaenge
ham unheñ yūñhī āzmā.eñge
pyaar meñ shart kyuuñ lagā.eñge
ye parinde haiñ āshiyāne ko
par nikalte hī bhuul jā.eñge
yaad rakhnā tumhārī āñkhoñ meñ
ham bahut jald jhilmilā.eñge
kyā tumheñ tab yaqīn aa.egā
log jab uñgliyāñ uThā.eñge
darmiyāñ apne aa ga.ī jo ḳhalīj
us par ik roz pul banā.eñge
bevafā zindagī ke rishte ko
āḳhirī saañs tak nibhā.eñge
ek baazī tirī ḳhushī ke liye
tujh se dānista haar jā.eñge
daur aisā bhī ek aa.egā
zarf kam-zarf āzmā.eñge
aap ko ājizī jatā.egī
vo takabbur meñ haar jā.eñge
pyaar kī guftugū nahīñ kiije
zaḳhm so.e haiñ jaag jā.eñge
hum unhen yunhi aazmaenge
pyar mein shart kyun lagaenge
ye parinde hain aashiyane ko
par nikalte hi bhul jaenge
yaad rakhna tumhaari aankhon mein
hum bahut jald jhilmilaenge
kya tumhein tab yaqin aaega
log jab ungliyan uThaenge
darmiyan apne aa gai jo KHalij
us par ek roz pul banaenge
bewafa zindagi ke rishte ko
aaKHiri sans tak nibhaenge
ek bazi teri KHushi ke liye
tujh se danista haar jaenge
daur aisa bhi ek aaega
zarf kam-zarf aazmaenge
aap ko aajizi jataegi
wo takabbur mein haar jaenge
pyar ki guftugu nahin kije
zaKHm soe hain jag jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.