hum us gali ka baDa ehtiram karte hain
ham us galī kā baḌā ehtirām karte haiñ
ki jo bhī miltā hai us ko salām karte haiñ
janāb-e-shaiḳh ye mai-ḳhāna aur ye vā’z-e-tavīl
huzūr kaahe ko piinā harām karte haiñ
ilāhī un kī samajh meñ bayān-e-ġham aa jaa.e
zabāñ ḳhamosh hai aañsū kalām karte haiñ
ḳhudā hī jaane ab ādāb-e-bandagī kyā hoñ
jinheñ ki sajde haiñ lāzim kalām karte haiñ
'ajīb hotā hai mahfil meñ un kā rū-e-suḳhan
har ik samajhtā hai mujh se kalām karte haiñ
'qamar' hilāl samajh kar jo dekhte haiñ mujhe
gale to mil nahīñ sakte salām karte haiñ
hum us gali ka baDa ehtiram karte hain
ki jo bhi milta hai us ko salam karte hain
janab-e-shaiKH ye mai-KHana aur ye wa’z-e-tawil
huzur kahe ko pina haram karte hain
ilahi un ki samajh mein bayan-e-gham aa jae
zaban KHamosh hai aansu kalam karte hain
KHuda hi jaane ab aadab-e-bandagi kya hon
jinhen ki sajde hain lazim kalam karte hain
'ajib hota hai mahfil mein un ka ru-e-suKHan
har ek samajhta hai mujh se kalam karte hain
'qamar' hilal samajh kar jo dekhte hain mujhe
gale to mil nahin sakte salam karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.