hum us ka naqsh-e-pa bhule hue hain
ham us kā naqsh-e-pā bhūle hue haiñ
ḳhudā-vandā ye kyā bhūle hue haiñ
chalo phir lauT jaa.eñ us taraf ko
jidhar kā rāsta bhūle hue haiñ
use socheñ to yaad aatā hai ham ko
ki ham to mudda.ā bhūle hue haiñ
ghire haiñ tañgnāoñ meñ kuchh aise
samundar kī havā bhūle hue haiñ
ye sāhil par zarūr utreñge ik din
parinde rāsta bhūle hue haiñ
qasam ham ko atā shīrīñ-laboñ kī
bayāñ kā zā.iqa bhūle hue haiñ
hum us ka naqsh-e-pa bhule hue hain
KHuda-wanda ye kya bhule hue hain
chalo phir lauT jaen us taraf ko
jidhar ka rasta bhule hue hain
use sochen to yaad aata hai hum ko
ki hum to muddaa bhule hue hain
ghire hain tangnaon mein kuchh aise
samundar ki hawa bhule hue hain
ye sahil par zarur utrenge ek din
parinde rasta bhule hue hain
qasam hum ko ata shirin-labon ki
bayan ka zaiqa bhule hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.