hum uske dhyan mein aaenge dhyan mein bhi na tha
ham us ke dhyān meñ ā.eñge dhyān meñ bhī na thā
yaqīñ kā zikr to kyā hai gumān meñ bhī na thā
ye past thī bhī to kyā vo buland thā bhī to kyā
zamīñ kā husn magar āsmān meñ bhī na thā
vo saaya jis ke liye dhuup se gurez kiyā
nishān us kā kahīñ sā.ebān meñ bhī na thā
thakī thakī sī chhateñ thiiñ shikasta dīvāreñ
salāmtī kā to imkāñ makān meñ bhī na thā
parinde phir bhī fazā meñ the par sameTe hue
'zafar' muḳhil koī un kī uḌaan meñ bhī na thā
hum us ke dhyan mein aaenge dhyan mein bhi na tha
yaqin ka zikr to kya hai guman mein bhi na tha
ye past thi bhi to kya wo buland tha bhi to kya
zamin ka husn magar aasman mein bhi na tha
wo saya jis ke liye dhup se gurez kiya
nishan us ka kahin saeban mein bhi na tha
thaki thaki si chhaten thin shikasta diwaren
salamti ka to imkan makan mein bhi na tha
parinde phir bhi faza mein the par sameTe hue
'zafar' muKHil koi un ki uDan mein bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.