hum uski basti mein hain
ham us kī bastī meñ haiñ
pāñchoñ uñgliyāñ ghī meñ haiñ
galī se vo guzrā ik din
saal se ham khiḌkī meñ haiñ
us se shādī karnā thī
ham jis kī shādī meñ haiñ
phir fursat se us kī baat
aaj zarā jaldī meñ haiñ
us ke ishq se pata lagā
ham kitne paanī meñ haiñ
kam ye kahāñ ki ham us ke
apnoñ kī gintī meñ haiñ
apnī maut mareñge ham
log ġhalat-fahmī meñ haiñ
us se mil kar aa.e log
jaane kis mastī meñ haiñ
kar jo jī chāhe 'harshit'
ham terī muTThī meñ haiñ
hum us ki basti mein hain
panchon ungliyan ghi mein hain
gali se wo guzra ek din
sal se hum khiDki mein hain
us se shadi karna thi
hum jis ki shadi mein hain
phir fursat se us ki baat
aaj zara jaldi mein hain
us ke ishq se pata laga
hum kitne pani mein hain
kam ye kahan ki hum us ke
apnon ki ginti mein hain
apni maut marenge hum
log ghalat-fahmi mein hain
us se mil kar aae log
jaane kis masti mein hain
kar jo ji chahe 'harshit'
hum teri muTThi mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.