hum us se ishq ka izhaar kar ke dekhte hain
ham us se ishq kā iz.hār kar ke dekhte haiñ
kiyā hai jurm to iqrār kar ke dekhte haiñ
hai ishq jañg to phir jiit leñ chalo ham log
hai dariyā aag kā to paar kar ke dekhte haiñ
hai kohsār to nahreñ nikāl deñ is se
hai regzār to gulzār kar ke dekhte haiñ
ham us ko dekhnā chāheñ to kis tarah dekheñ
so us kī yaad ko kirdār kar ke dekhte haiñ
vo hosh-mand agar hai to kar deñ dīvāna
vo be-ḳhabar hai to hushiyār kar ke dekhte haiñ
hamāre sar pe to aatī nahīñ koī dastār
so apne sar ko hī dastār kar ke dekhte haiñ
hum us se ishq ka izhaar kar ke dekhte hain
kiya hai jurm to iqrar kar ke dekhte hain
hai ishq jang to phir jit len chalo hum log
hai dariya aag ka to par kar ke dekhte hain
hai kohsar to nahren nikal den is se
hai regzar to gulzar kar ke dekhte hain
hum us ko dekhna chahen to kis tarah dekhen
so us ki yaad ko kirdar kar ke dekhte hain
wo hosh-mand agar hai to kar den diwana
wo be-KHabar hai to hushiyar kar ke dekhte hain
hamare sar pe to aati nahin koi dastar
so apne sar ko hi dastar kar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.