hum use pyar ka tohfa bhi nahin de sakte
ham use pyaar kā tohfa bhī nahīñ de sakte
mas.ala ye hai ki dhokā bhī nahīñ de sakte
beach majdhār meñ ḳhud chhoḌ dī jis ne patvār
ab use tum koī tinkā bhī nahīñ de sakte
dariyā-dil vo ke hameñ sauñp dī ġham kī jāgīr
ḳhud-ġharaz ham use hissa bhī nahīñ de sakte
chāñd bhī duur idhar aur havā bhī hai ḳhilāf
ham to uḌtā huā bosa bhī nahīñ de sakte
be-sabab bhiiḌ meñ rahte haiñ vo bechain magar
merī tanhā.ī ko lamha bhī nahīñ de sakte
hum use pyar ka tohfa bhi nahin de sakte
masala ye hai ki dhoka bhi nahin de sakte
beach majdhaar mein KHud chhoD di jis ne patwar
ab use tum koi tinka bhi nahin de sakte
dariya-dil wo ke hamein saunp di gham ki jagir
KHud-gharaz hum use hissa bhi nahin de sakte
chand bhi dur idhar aur hawa bhi hai KHilaf
hum to uDta hua bosa bhi nahin de sakte
be-sabab bhiD mein rahte hain wo bechain magar
meri tanhai ko lamha bhi nahin de sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.