hum waqt ke alaw mein barson jale miyan
ham vaqt ke alaav meñ barsoñ jale miyāñ
lo dil kī raakh chhoḌ ke ham bhī chale miyāñ
chāroñ taraf se TuuT rahā hai havā kā shor
bastī meñ ik charāġh kahāñ tak jale miyāñ
ik dūsre ke qatl meñ ham sab sharīk haiñ
pūchho to koī naam kisī kā na le miyāñ
darvāza band kar ke sulagnā paḌā mujhe
kyuuñ mere ghar kī aag se bastī jale miyāñ
kab tak khaḌe rahoge daraḳhtoñ kī aaḌ meñ
kyā jaane kitnī der ye āñdhī chale miyāñ
vo din ga.e ki rahte the ham āsmān par
kaTtī hai raat TuuTī huī chhat tale miyāñ
'qaisar' bharī-bahār se rūThe rahe bahut
ab fasl jā rahī hai lagā lo gale miyāñ
hum waqt ke alaw mein barson jale miyan
lo dil ki rakh chhoD ke hum bhi chale miyan
chaaron taraf se TuT raha hai hawa ka shor
basti mein ek charagh kahan tak jale miyan
ek dusre ke qatl mein hum sab sharik hain
puchho to koi nam kisi ka na le miyan
darwaza band kar ke sulagna paDa mujhe
kyun mere ghar ki aag se basti jale miyan
kab tak khaDe rahoge daraKHton ki aaD mein
kya jaane kitni der ye aandhi chale miyan
wo din gae ki rahte the hum aasman par
kaTti hai raat TuTi hui chhat tale miyan
'qaisar' bhari-bahaar se ruThe rahe bahut
ab fasl ja rahi hai laga lo gale miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.