hum wasl ki din-raat dua mang rahe hain
ham vasl kī din-rāt duā maañg rahe haiñ
bīmār-e-mohabbat haiñ davā maañg rahe haiñ
mushkil se milā karte haiñ bā-zarf muḳhālif
dushman mire jiine kī duā maañg rahe haiñ
is darja farozāñ haiñ mire dāġh-e-jigar bhī
ḳhurshīd-o-qamar mujh se ziyā maañg rahe haiñ
pur-nūr hai jin se mirī āñkhoñ kā jazīra
auroñ se mire ghar kā pata maañg rahe haiñ
tum log tamannā.ī ho ḳhurshīd-o-qamar ke
ham log to chhoTā sā diyā maañg rahe haiñ
itnā hai 'farāz'-e-dil-e-muztar kā fasāna
mere liye ro kar vo duā maañg rahe haiñ
hum wasl ki din-raat dua mang rahe hain
bimar-e-mohabbat hain dawa mang rahe hain
mushkil se mila karte hain ba-zarf muKHalif
dushman mere jine ki dua mang rahe hain
is darja farozan hain mere dagh-e-jigar bhi
KHurshid-o-qamar mujh se ziya mang rahe hain
pur-nur hai jin se meri aankhon ka jazira
auron se mere ghar ka pata mang rahe hain
tum log tamannai ho KHurshid-o-qamar ke
hum log to chhoTa sa diya mang rahe hain
itna hai 'faraaz'-e-dil-e-muztar ka fasana
mere liye ro kar wo dua mang rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.