hum wo aawara ki jo dasht na ghar ke liye hain
ham vo āvāra ki jo dasht na ghar ke liye haiñ
jaane phir kaun sī duniyā-e-digar ke liye haiñ
jabr mausam ke haiñ jitne bhī shajar ke liye haiñ
un ko kyā is se jo betāb samar ke liye haiñ
raunaqeñ bhī to bujhā detī haiñ āñkheñ aksar
kuchh nazāre haiñ ki qātil jo nazar ke liye haiñ
raas aatī hai bhalā un ko kahāñ nān-e-javīñ
log zinda ye faqat luqma-e-tar ke liye haiñ
tum to aflāk se tāroñ kī ḳhabar le aa.e
ham pareshān abhī samt-e-safar ke liye haiñ
hum wo aawara ki jo dasht na ghar ke liye hain
jaane phir kaun si duniya-e-digar ke liye hain
jabr mausam ke hain jitne bhi shajar ke liye hain
un ko kya is se jo betab samar ke liye hain
raunaqen bhi to bujha deti hain aankhen aksar
kuchh nazare hain ki qatil jo nazar ke liye hain
ras aati hai bhala un ko kahan nan-e-jawin
log zinda ye faqat luqma-e-tar ke liye hain
tum to aflak se taron ki KHabar le aae
hum pareshan abhi samt-e-safar ke liye hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.