hum yahan gham se hain do-chaar kahin aur chalen
ham yahāñ ġham se haiñ do-chār kahīñ aur chaleñ
aap bhī dikhte haiñ bīmār kahīñ aur chaleñ
jaan pahchān ke jo chehre the anjān hue
ham rakheñ kis se sarokār kahīñ aur chaleñ
jis bayābān meñ milte the kabhī shām-o-sahar
saj gayā hai vahāñ bāzār kahīñ aur chaleñ
kaise kamre meñ havā aa.e darīcha bhī nahīñ
saañs lenā huā dushvār kahīñ aur chaleñ
hādisa apne mohalle meñ huā hai to kyā
paḌh ke dekheñge kal aḳhbār kahīñ aur chaleñ
hum yahan gham se hain do-chaar kahin aur chalen
aap bhi dikhte hain bimar kahin aur chalen
jaan pahchan ke jo chehre the anjaan hue
hum rakhen kis se sarokar kahin aur chalen
jis bayaban mein milte the kabhi sham-o-sahar
saj gaya hai wahan bazar kahin aur chalen
kaise kamre mein hawa aae daricha bhi nahin
sans lena hua dushwar kahin aur chalen
hadisa apne mohalle mein hua hai to kya
paDh ke dekhenge kal aKHbar kahin aur chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.