hum ye kaisa malal kar baiThe
ham ye kaisā malāl kar baiThe
dil kā tum se savāl kar baiThe
pyaar karnā hameñ na aaya magar
ishq meñ ham kamāl kar baiThe
kho.e the ham tire ḳhayāloñ meñ
par haqīqat ḳhayāl kar baiThe
zikr terā zabān par lā kar
apnā chehra gulāl kar baiThe
aap ko chāhte haiñ un se kahā
ham bhī kaisī majāl kar baiThe
hum ye kaisa malal kar baiThe
dil ka tum se sawal kar baiThe
pyar karna hamein na aaya magar
ishq mein hum kamal kar baiThe
khoe the hum tere KHayalon mein
par haqiqat KHayal kar baiThe
zikr tera zaban par la kar
apna chehra gulal kar baiThe
aap ko chahte hain un se kaha
hum bhi kaisi majal kar baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.