hum ye kirdar kar chuke pahle
ham ye kirdār kar chuke pahle
ḳhud ko dīvār kar chuke pahle
ab tirā ehtirām karte haiñ
ham tujhe pyaar kar chuke pahle
tum se munkir to ab hue haiñ ham
apnā inkār kar chuke pahle
maut āsān māñgte haiñ ham
jiinā dushvār kar chuke pahle
naam badnām kar ke dushman kā
vaar to yaar kar chuke pahle
ishq kā ain aag kā dariyā
bārhā paar kar chuke pahle
ḳhud-kushī vajh-e-kaif hai hī nahīñ
kitne bīmār kar chuke pahle
āḳhirī intizār saarā din
ham ka.ī baar kar chuke pahle
hum ye kirdar kar chuke pahle
KHud ko diwar kar chuke pahle
ab tera ehtiram karte hain
hum tujhe pyar kar chuke pahle
tum se munkir to ab hue hain hum
apna inkar kar chuke pahle
maut aasan mangte hain hum
jina dushwar kar chuke pahle
nam badnam kar ke dushman ka
war to yar kar chuke pahle
ishq ka ain aag ka dariya
barha par kar chuke pahle
KHud-kushi wajh-e-kaif hai hi nahin
kitne bimar kar chuke pahle
aaKHiri intizar sara din
hum kai bar kar chuke pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.