hum zat ke kankar hain pe hire ki tarah hain
ham zaat ke kankar haiñ pe hiire kī tarah haiñ
ham bujh ke bhī manzar meñ savere kī tarah haiñ
pahuñchā.eñge ghar tum ko bhaTakne nahīñ deñge
jañgal se guzarte hue raste kī tarah haiñ
kuchh TuuTī huī pencileñ phūTe hue kāġhaz
ham haiñ to magar bachche ke baste kī tarah haiñ
ashjār kā dīvār kā galiyoñ kā hameñ dukh
is shahr meñ hamdard ḳhazāne kī tarah haiñ
tum jab bhī bulāoge chale ā.eñge yaaro
ham daur-e-girānī meñ bhī saste kī tarah haiñ
jo aatā hai zanjīr-ba-pā aatā hai 'sāġhar'
ziine kisī manzil ke kaTahre kī tarah haiñ
hum zat ke kankar hain pe hire ki tarah hain
hum bujh ke bhi manzar mein sawere ki tarah hain
pahunchaenge ghar tum ko bhaTakne nahin denge
jangal se guzarte hue raste ki tarah hain
kuchh TuTi hui pencilen phuTe hue kaghaz
hum hain to magar bachche ke baste ki tarah hain
ashjar ka diwar ka galiyon ka hamein dukh
is shahr mein hamdard KHazane ki tarah hain
tum jab bhi bulaoge chale aaenge yaro
hum daur-e-girani mein bhi saste ki tarah hain
jo aata hai zanjir-ba-pa aata hai 'saghar'
zine kisi manzil ke kaTahre ki tarah hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.