hum zamin par aasman ban kar rahe
ham zamīñ par āsmāñ ban kar rahe
be-zabānoñ kī zabāñ ban kar rahe
jin kā koī ghar na thā aur chhat na thī
un ke sar par sā.ebāñ ban kar rahe
hal jinhoñ ne jote dahqāñ kī tarah
sarhadoñ par vo javāñ ban kar rahe
ham jahāñ par the vahāñ par umr-bhar
bānī-e-amn-o-amāñ ban kar rahe
jin ke andar gum huiiñ nadiyāñ ka.ī
ham vo bahr-e-be-karāñ ban kar rahe
aaj to un kā fazāoñ par hai raaj
kal talak jo sārbāñ ban kar rahe
nek aulādoñ kī ḳhvāhish hai to phir
maañ se kah do vo bhī maañ ban kar rahe
hum zamin par aasman ban kar rahe
be-zabanon ki zaban ban kar rahe
jin ka koi ghar na tha aur chhat na thi
un ke sar par saeban ban kar rahe
hal jinhon ne jote dahqan ki tarah
sarhadon par wo jawan ban kar rahe
hum jahan par the wahan par umr-bhar
bani-e-amn-o-aman ban kar rahe
jin ke andar gum huin nadiyan kai
hum wo bahr-e-be-karan ban kar rahe
aaj to un ka fazaon par hai raj
kal talak jo sarban ban kar rahe
nek auladon ki KHwahish hai to phir
man se kah do wo bhi man ban kar rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.