hum zamin-zadon ko aasman bana jaana
ham zamīn-zādoñ ko āsmāñ banā jaanā
pahle ḳhaak kar denā aur phir uḌā jaanā
jism se judā rahnā ruuh meñ samā jaanā
koī aap se sīkhe jaan par banā jaanā
be-shu.ūr sāthī ne sāhiloñ ke baasī ne
ham ko sar-phirā samjhā dasht kī havā jaanā
aur gar qarīb aate naqsh aur dhundlāte
qurbatoñ kī duurī ko tum ne fāsla jaanā
be-zamīr shahroñ ke be-zamīr logoñ se
jo bhī mil gayā ham ko vo tirī atā jaanā
hum zamin-zadon ko aasman bana jaana
pahle KHak kar dena aur phir uDa jaana
jism se juda rahna ruh mein sama jaana
koi aap se sikhe jaan par bana jaana
be-shuur sathi ne sahilon ke basi ne
hum ko sar-phira samjha dasht ki hawa jaana
aur gar qarib aate naqsh aur dhundlate
qurbaton ki duri ko tum ne fasla jaana
be-zamir shahron ke be-zamir logon se
jo bhi mil gaya hum ko wo teri ata jaana
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 224)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.