hum zarre hain KHak-e-rahguzar ke
ham zarre haiñ ḳhāk-e-rahguzar ke
dekho hameñ baam se utar ke
chup ho ga.e yuuñ asiir jaise
jhagḌe the tamām bāl-o-par ke
va.ada na dilāo yaad un kā
nādim huuñ ḳhud e'tibār kar ke
ai bād-e-sahar na chheḌ ham ko
ham jaage hue haiñ rāt-bhar ke
shabnam kī tarah hayāt ke ḳhvāb
kuchh aur nikhar ga.e bikhar ke
jab un ko ḳhayāl-e-vaz.a aayā
andāz badal ga.e nazar ke
yuuñ maut ke muntazir haiñ 'bāqī'
mil jā.egā chain jaise mar ke
hum zarre hain KHak-e-rahguzar ke
dekho hamein baam se utar ke
chup ho gae yun asir jaise
jhagDe the tamam baal-o-par ke
wada na dilao yaad un ka
nadim hun KHud e'tibar kar ke
ai baad-e-sahar na chheD hum ko
hum jage hue hain raat-bhar ke
shabnam ki tarah hayat ke KHwab
kuchh aur nikhar gae bikhar ke
jab un ko KHayal-e-waza aaya
andaz badal gae nazar ke
yun maut ke muntazir hain 'baqi'
mil jaega chain jaise mar ke
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 355)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 )
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.