hum zindagi ko yun hi guzare chale gae
ham zindagī ko yuuñ hī guzāre chale ga.e
nākāmiyoñ meñ dost bhī saare chale ga.e
tanhā.iyāñ safar meñ musalsal banī rahīñ
phir bhī tumhārā naam pukāre chale ga.e
be-shak hamāre kaam kī qīmat nahīñ milī
bas āsmāñ zamīñ pe utāre chale ga.e
tum qāfiya radīf ke mā'nī bane rahe
ham kāġhazoñ pe dard ubhāre chale ga.e
ham vo nahīñ faqīr jo ḳhairāt māñgte
qismat kī baat vaqt ke maare chale ga.e
āñgan kā peḌ ghar kī taraqqī meñ kaT gayā
pakshī nahīñ 'abhay' to sahāre chale ga.e
hum zindagi ko yun hi guzare chale gae
nakaamiyon mein dost bhi sare chale gae
tanhaiyan safar mein musalsal bani rahin
phir bhi tumhaara nam pukare chale gae
be-shak hamare kaam ki qimat nahin mili
bas aasman zamin pe utare chale gae
tum qafiya radif ke ma'ni bane rahe
hum kaghazon pe dard ubhaare chale gae
hum wo nahin faqir jo KHairaat mangte
qismat ki baat waqt ke mare chale gae
aangan ka peD ghar ki taraqqi mein kaT gaya
pakshi nahin 'abhay' to sahaare chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.