hum zulm-o-sitam chahen hum jaur-o-jafa mangen
ham zulm-o-sitam chāheñ ham jaur-o-jafā māñgeñ
ab is ke sivā tujh se māñgeñ bhī to kyā māñgeñ
tū ḳhuub jafā.eñ kar tū ḳhuub sazā.eñ de
ham apnī vafāoñ kā itnā hī sila māñgeñ
dil kaañp uThā apnā surḳhī se bahāroñ kī
ham barg-e-hinā se ab kyā rang-e-hinā māñgeñ
is be-ḳhudī-e-dil kā pūchhe na koī 'ālam
ham us ke hī kūche meñ aur us kā patā māñgeñ
koī kisī insāñ pe phir jabr na kar paa.e
duniyā meñ 'hayāt' aisī ham āb-o-havā māñgeñ
hum zulm-o-sitam chahen hum jaur-o-jafa mangen
ab is ke siwa tujh se mangen bhi to kya mangen
tu KHub jafaen kar tu KHub sazaen de
hum apni wafaon ka itna hi sila mangen
dil kanp uTha apna surKHi se bahaaron ki
hum barg-e-hina se ab kya rang-e-hina mangen
is be-KHudi-e-dil ka puchhe na koi 'alam
hum us ke hi kuche mein aur us ka pata mangen
koi kisi insan pe phir jabr na kar pae
duniya mein 'hayat' aisi hum aab-o-hawa mangen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.