hama-tan-gosh hai wo shahid-e-zeba-e-ghazal
hama-tan-gosh hai vo shāhid-e-zebā-e-ġhazal
hai sukūt-e-azalī husn-e-taqāzā-e-ġhazal
nāla-e-nīm-shabī sham'-e-guzargāh-e-habīb
dīda-e-ashk-fishāñ manzil-e-salmā-e-ġhazal
chashm-e-sāqī kā ‘atiyya hai ye sarmastī-e-shauq
chashm-e-sāqī se 'ibārat hai ye mīnā-e-ġhazal
tujh se kahtā huuñ ye ai ḳhalvatī-e-husn-e-ḳhayāl
hai tire ḳhvāb kī tā'bīr zuleḳhā-e-ġhazal
saiñkaḌoñ najd haiñ be-tāb qadam-bosī ko
kis kī jānib hai ravāñ mahmil-e-lailā-e-ġhazal
lāla-o-gul mah-o-anjum ke jahāñ se aage
duur pahuñchī haiñ nigāheñ ba-taqāzā-e-ġhazal
hai har ik lamha fuzūñ vaqt kī raftār ke saath
kahīñ mahdūd nahīñ nashsha-e-sahbā-e-ġhazal
hama-tan-gosh hai wo shahid-e-zeba-e-ghazal
hai sukut-e-azali husn-e-taqaza-e-ghazal
nala-e-nim-shabi sham'-e-guzargah-e-habib
dida-e-ashk-fishan manzil-e-salma-e-ghazal
chashm-e-saqi ka ‘atiyya hai ye sarmasti-e-shauq
chashm-e-saqi se 'ibarat hai ye mina-e-ghazal
tujh se kahta hun ye ai KHalwati-e-husn-e-KHayal
hai tere KHwab ki ta'bir zuleKHa-e-ghazal
sainkaDon najd hain be-tab qadam-bosi ko
kis ki jaanib hai rawan mahmil-e-laila-e-ghazal
lala-o-gul mah-o-anjum ke jahan se aage
dur pahunchi hain nigahen ba-taqaza-e-ghazal
hai har ek lamha fuzun waqt ki raftar ke sath
kahin mahdud nahin nashsha-e-sahba-e-ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.