hama-waqt jo mere sath hain ye ubharte Dubte sae se
hama-vaqt jo mire saath haiñ ye ubharte Dūbte saa.e se
kisī raushnī ke sarāb haiñ ki mile har apne parā.e se
ḳham-e-jāda se maiñ piyāda-pā kabhī dekh letā huuñ ḳhvāb-sā
kahīñ duur jaise dhuāñ uThā kisī bhūlī-bisrī sarā.e se
uThī mauj-e-dard to yak-ba-yak mire ās-pās bikhar ga.e
mah-e-nīm-shab ke idhar udhar jo laraz rahe the kinā.e se
milā mujh ko raah meñ ik nagar jahāñ koī shaḳhs na thā magar
vo zamīñ shagufta shagufta sī vo makāñ nahā.e nahā.e se
mire kār-zār-e-hayāt meñ rahe umr-bhar ye muqāble
kabhī saaya dab gayā dhuup se kabhī dhuup dab ga.ī saa.e se
hama-waqt jo mere sath hain ye ubharte Dubte sae se
kisi raushni ke sarab hain ki mile har apne parae se
KHam-e-jada se main piyaada-pa kabhi dekh leta hun KHwab-sa
kahin dur jaise dhuan uTha kisi bhuli-bisri sarae se
uThi mauj-e-dard to yak-ba-yak mere aas-pas bikhar gae
mah-e-nim-shab ke idhar udhar jo laraz rahe the kinae se
mila mujh ko rah mein ek nagar jahan koi shaKHs na tha magar
wo zamin shagufta shagufta si wo makan nahae nahae se
mere kar-zar-e-hayat mein rahe umr-bhar ye muqable
kabhi saya dab gaya dhup se kabhi dhup dab gai sae se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.